11 Rebiülahir 1448 Hicri

Regaib Kandili 79 gün sonra
Online İlahi

Aaqa Hai Hamara

Danish F Dar

Aaqa ﷺ hai hamara, Maula ﷺ hai hamara Aaqa ﷺ hai hamara, Maula ﷺ hai hamara Jo sab se alag, sab se haseen, sab se hai pyaara Jo sab se alag, sab se haseen, sab se hai pyaara Aaqa ﷺ hai hamara, Maula ﷺ hai hamara Aaqa ﷺ hai hamara, Maula ﷺ hai hamara Woh Maalik-o-Mukhtaar hain, Mukhtaar hain, Mukhtaar Aise mere Sarkaar hain, Sarkaar hain, Sarkaar Sookhi hui lakdi ko jo talwaar bana dein Insaan toh insaan, darakhton ko chala dein Ungli ke ishaare se kare chaand ke tukde Doobe hue sooraj ko jo bulwa dein dobara Aaqa ﷺ hai hamara, Maula ﷺ hai hamara Aaqa ﷺ hai hamara, Maula ﷺ hai hamara Mustafaaaaa ﷺ, Mustafa Saw Sar kaat bhi daaloge toh deewana kahega Sarkaar ﷺ ne jo keh diya, woh ho ke rahega Mehshar mein faqat unka hi farmaan chalega Hum log deewaane hain, lagaate hain yeh naara Aaqa ﷺ hai hamara, Maula ﷺ hai hamara Aaqa ﷺ hai hamara, Maula ﷺ hai hamara Jo phool sa hote hue kaanton pe chala hai Islam ki azmat ke liye dard saha hai Apnon hi nahi, gairon ko bhi maaf kiya hai Tauheen kabhi hogi na unko gawara Aaqa ﷺ hai hamara, Maula ﷺ hai hamara Aaqa ﷺ hai hamara, Maula ﷺ hai hamara Kya fauj ki tadaad dikhaate ho hame tum Hum dekhen toh kis tarah hataate ho hame tum Kis haakim-o-jaabir se daraate ho hame tum Ab naam na lena kisi haakim ka dobara Aaqa ﷺ hai hamara, Maula ﷺ hai hamara Aaqa ﷺ hai hamara, Maula ﷺ hai hamara Mustafa ﷺ, Mustafa Saw

Paylaş

WhatsApp Facebook X Telegram E-posta

Yayınlanma: · Son güncelleme:

İçerik / Telif Bildirimi

Kaynak: ilahisozleri.net