10 Rebiülahir 1448 Hicri

Regaib Kandili 80 gün sonra
Online İlahi

Khaliq Hai Tu Hamara

Aqib Farid

Allah Allah Ya Allah ya Allah Ya Allah Makhlook hum hain teri Khaliq hai tu hamara Tere siwa nahi hai apna koi sahara Makhlook hum hain teri Khaliq hai tu hamara Tere siwa nahi hai apna koi sahara Har sans aik nemat har pal hai teri rehmat Kafir ho yaan ho momin sab per teri Inayat Hum se bayan ho ya rab kis tarhaan hamd teri Qatre ka hum hain qatra tu bahre be kinara Makhlook hum hain teri Khaliq hai tu hamara Tere siwa nahi hai apna koi sahara Bhatke musafiroon ko rasta dikhaya tu ne Bigra hua naseeba beshak banaya tu ne Lauta nahi hai khali woh shaks tere dar se Jis ne bhi sidqe dil se ya rab tujhe pukara Makhlook hum hain teri Khaliq hai tu hamara Tere siwa nahi hai apna koi sahara Yosuf ko bhi kuaeen se bahar nikala tu ne Machli ke pait main bhi yunus ko pala tu ne Raste banae tu ne dariya k beech main bhi Musa nabi ne jis dum apne asa ko mara Makhlook hum hain teri Khaliq hai tu hamara Tere siwa nahi hai apna koi sahara Ilhad o kufr o baatil har aik se bachaya Sab se chaheti ummat tu ne hameen banaya Azmat badhai tu ne naib bana ke apna Afzal nabi pe Afzal quran bhi utara Makhlook hum hain teri Khaliq hai tu hamara Tere siwa nahi hai apna koi sahara Adam ko baap ma bin paida kiya hai tu ne Maryam ko maujzati beta diya hai tu ne Qismet bana de meri qismat banana wale Gardish main mudatoon se kismet ka hai sitara Makhlook hum hain teri Khaliq hai tu hamara Tere siwa nahi hai apna koi sahara Girte huoon ke beshak tu hi sambhalta hai Bandoon ko mushkiloon se tu hi nikalta hai Jaafar khata ka putla kamzor sa hai banda Mushkil ho is ki asaan karde koi ishara Makhlook hum hain teri Khaliq hai tu hamara Tere siwa nahi hai apna koi sahara Makhlook hum hain teri Khaliq hai tu hamara Tere siwa nahi hai apna koi sahara

Paylaş

WhatsApp Facebook X Telegram E-posta

Yayınlanma: · Son güncelleme:

İçerik / Telif Bildirimi

Kaynak: ilahisozleri.net